Tuesday, 7 August 2018

A memorable collection

I believe that Indian songs have immense meaning attached to them. And every time I come upon a song that touches my heart, I can hardly resist the temptation to seize a few lines out of the piece to always take me back to it. Here is a collection of many such lines should you happen to share this interest. 

ye na thi hamari kismet ke visal e yaar hota
agar aur jeete rehte yehi intezar hota

jag se haara nahin mai
khud se haara hun ma

jab jab mujhpe utha sawaal
mai teri chunariya lehraayi 

khaali raahein aankh moondein jaayen
pahunche kahin toh bevajah

Vaise toh mera gham hi ek dava sa hai
har ghadi zinda har din naya sa hai

tan saunp diya, man saunp diya
kuch aur toh mere paas nahi
jo tumse hai mere humdum
bhagvaan se bhi vo aas nahi

hum jise gunguna nahin sakte
vakt ne aisa geet kyun gaaya
tumko dekha toh yeh khayal aaya

mere naina sawan bhado
phir bhi mera man pyasa

bijuri ban kar gagan pe chamki
beete samay ki rekha
maine tumko dekha

meri nazar mein aaj kal din bhi andheri raat hai
saaya hi apne saath tha saaya hi apne saath hai

Bichhad Gayaa har santhi de kar pal do pal ka santh
Kisko Phursat Hai Jo Thaame Deewane Ka Haath
Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila
 
tum saath ho ya na ho kya fark hai
bedard si zindagi bedard hai

ek toh sajan mere paas nahin hai
duje milan di koi aas nahin hai
maut na aayi teri yaad kyun aayi
... hai lambi judaai

dil behel toh jaayega iss khayal se
haal mil gaya tumhara apne haal se
muktasar si baat hai tumse pyar hai
tumhara intezar hai

voh kuchh beete huiye lamhe
voh kuchh guzari hui baatein
paraaye ho gaye toh kya
kabhi toh yeh bhi the apne
kahan thi zindagi meri
kahan par aa gayi